Monday, April 30, 2012

Translate & read

Kabi tamana k rastoon par
Nikal paro tou khayal rakhna
Hawain, badal,fizain, mousam
Khayal chahray badal badalkar tumhain milain gay.
Tum lamha lamha badaltayRangoon k sokh dhokay main a na jana.
Aur apni aankhain kahein khala main ganwa na aana.
K aisa na ho jo khoab totay.
Dhanak dhanak ka sarab totay.
Tou jism-o-jan pay azaab totay.
Aur tum ba mushkil
Laraztay hathon main kirchi kirchi badan sambhalay zameen pay utro.
Kahein bolandi pay charh k doobti hoe nighahon say wapsi k nishan dhoondo.
Ujar gaya jo jahan dhoondo.
KAHEIN AISA NA HO.
KHAYAL RAKHNA���.!!!
:->
Mai Ne Poocha Kaise Ho
Badley Ho Ya Waise Ho
Roop Wohi Andaz Wohi
Ya Phir Is Mein Hoi Kami
Hijr Ka Kuch Ehsas To Ho Ga
Koi Tumhare Pass To Ho Ga
Mai Bichra ye Majboori Thi
Kab Manzoor Mujhe Doori Thi
Saath Hamara Kab Choota Hai
Rooh Ka Rishta Kab Toota Hai
Aankh Se Jo Aansu Behte Hain
Tum Ko Khabar Hai Kya Kehte Hain?
Mai Ne Kaha Awaz Tumhari
Aaj Bhi Hai Hamraz Hamari
Phool Wafa K Khil Jayen Ge
Ik Din Hum Phir Mil Jayen Ge
:->
Phir Ek Cigaret Jala Raha Hu,
Phir Ek Teeli Bujha Raha Hu,
Teri Nazar Me Ye Ek Gunah Hai,
Main To Tere Vaade Bhula Raha Hu,
Samajhna Mat Isko Meri Aadat,
Main To Bas Dhuaan Udaa Raha Hu,
Ye Teri Yaado Ke Silsile Hai,
Main Teri Yaade Jala Raha Hu,
Main Peekar Itna Bahak Chuka Hu,
Ke Gham Ke Kisse Suna Raha Hu,
Agar Tumhe Bhi Gham Hai To Pas Aao,
Main Pee Raha Hu Aur Pila Raha Hu,
Hai Meri Aankhen To Aaj Num,
Magar Main Sabko Hansa Raha Hu,
Khokar Apni ZINDGI..
Phir Ek Cigaret Jala Raha Hu/
http://translate.google.com/m?twu=1&sl=auto&tl=en&hl=en--
:->

No comments:

Post a Comment