* to read this article, use Translator/
-
Hadith: Jo log tasweer banatey hain unhey Qayamat ke din Azab kiya jayega
Said bin Abu Al-Hasan ne kaha ki Main Ibn Abbas ki Khidmat mein hazir
tha ki Ek shaksh unkey pass aaya aur kaha ki Eh Abu Abbas main un logo
mein se hu jinki rozi apney haath ke hunar par moquf hai aur main ye
tasweerein banatahu , Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma ne kaha ki
maineyRasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ko ye farmate huye suna
hai ki jisney kabhi koi tasweer banayee to Allah subhanahu usey us
waqt tak Azab dega jab tak wo shaksh un tasweeron (ya moortiyon) mein
jaaan na daal de aur wo kabhi usmein jaan nahi daal sakta ye sun kar
us shaksh ka saans phul gaya aur chehra zard parh gaya Ibn Abbas ne
kaha ki Afsos, agar tum tasweerein banana hi chahtey ho to Darakhton
ki aur un cheezoki banao jismein jaan nahi hai
Sahih Bukhari, Vol 3, 2225
Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah
Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jo log tasweer banatey hain
unhey Qayamat ke din Azab kiya jayega aur unsey kaha jayega ki jisko
tumney banaya hai usmein ab jaan bhi daalo.
Sahih Bukhari, Vol 7, 5951
--------------- --------------- --------------- --------------
English Translation:
Narrated Said bin Abu Al-Hasan: While I was with Ibn 'Abbas a man came
andsaid, "O father of 'Abbas! My sustenance is from my manual
profession and I make these pictures." Ibn 'Abbas said, I heard Allah
Apostel Sallallahu Alaihi Wasallam said, 'Whoever makes a picture will
be punished by Allah till he puts life in it, and he will never be
able to put life in it.' " Hearing this, that man heaved a sigh and
his face turned pale. Ibn 'Abbas saidto him, "What a pity! If
youinsist on making pictures I advise you to make pictures of trees
and any other unanimated objects."
Sahih Bukhari, Book #34, Hadith #428
Narrated 'Abdullah bin 'Umar Radi Allahu Anhuma:Allah's Apostle
Sallallahu Alaihi wasallam said,"Those who make these pictures will be
punished on the Day of Resurrection, and it will be said to them.
'Make alive what you have created.'"
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 72, No. 835
No comments:
Post a Comment